Nahi rakhta dil mein kuch,
Rakhta hoon zubaan par,
samjhe na apne bhi kabhi.
Kah nahi sakta main kya,
sahtaa hoon chupa kar,
Ek aesi aadat hai meri.
Sabhi to hain jinse milta hoon,
Sahi jo hai inse kahta hoon,
Jo samajhta hoon.
maine dekha nahi rang dil aaya hai sirf adaa par,
Ek aesi chahat hai meri.
Baharon ke ghere se laaya main dil sajaa kar.
Ek aesi sohbat hai meri.
Saye mein chaye rehta hu
Aankein bichaye rehta hu
Jinse milta hu
kitno ko dekha hain hamne yaha
kutch sikha hain hamne unse naya
Pehle phursat thi ab hasratein samakar
Ek aaisi uljhan hain meri
Khud chalkar rukta hu jaha jis jagah par
Ek aaisi sarhad hain meri
Kahne se bhi main darta hoon
Apno ki dhun mein rahta hoon
Kar kya sakta Hoon
De sakta hoon main thoda pyar yahan par,
Jitni haisiyat hai meri.
Reh jaaun sabke dil mein dil ko basakar
Ek aaisi niyat hain meri
Ho jaye to bhi razi hoon.
Kho jaau to main baaki hoon.
Yun samajhta hoon.
Raste na badle na badla jahan,
Phir kyon badalte kadam hain yahan
compositores: ASLAM, LUCKY ALI, Syed Aslam
Você é fã de Lucky Ali? Gosta da letra da música?
Compartilhe com seus amigos.